Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all 6004 articles
Browse latest View live

Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna

$
0
0

Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna

Phir uskay baad reh-e-intizaar main rehna

Kabhi sukon kabhi khalafshaar main rehna
Humein azeez teray ikhtiyaar main rehna

Woh bay iraada teri khushbouon ko choo lena
Phir ik ajeeb se kaif-o-khumaar main rehna

Woh ik pal kay liye arzoo mohabbat ki
Phir ik umar safar kay ghubaar main rehna

Meri dua ko kahiin raasta nahiin milta
Jahaan bhi rehna isi intishaar main rehna

Kal raat tanha tha main,dehaan mein tum thay

$
0
0

Kal raat tanha tha main,dehaan mein tum thay

Tehreer mein tum thay,meray wajdaan mein tum thay

Ahat thi k betaab kiye deti thi mujh ko
Ehsaas yeh kehta tha k dalaan mein tum thay

Go ajnabi dastak thi magar main ne dar-e-jaah
Yeh soch k khola tha k imkaan mein tum thay

Main kia, sitaron ne bhi aankh na jhapki thi
kal shab shab-e-mehtaab thi aur dalaan mein tum thay

Kia dekhtay auron ki taraf hum se giraftaar
Har ehad mein tum thay / har paimaan mein tum thay

Har chashm-e-gul-e-tarr thi tehreer zada AZHAR
Kia waqt-e-sehar mun-e-gulistan mein tum thay.

Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

$
0
0

Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

Tu theek kehta hai shayad badal gaya hoon main

Tujhay khabar nahi kaisay saraab rastay thay
Khuda ka shukr k phir bhi sanbhal gaya hoon main

Mairay ilawaa bhi tujh ko azeez hai koi!!!!
Zara si baat pay aisay hee jal gaya hoon main

Yeh paoo'n jantay hain wat e hijr kaisa hai
qadam qadam kisi pathar main dhal gaya hoon main

Utha liya hai sitaroo'n nay aasmaan sir par!!!!
Zara jo chaand ki khatir machal gaya hoon main

Timepass December 2014 (Bheega Huwa Mosam)

$
0
0
:salam: dosto

December ka maheena. depression wali poetry, naye saal ki aamad aamad aur purane saal ki rukhsati.

So many colors.

Bait Bazi (December 2014)

Lafz ba Lafz (December 2014)

$
0
0
:salam: dosto

silsila wohin se shroo karte hain jahan se toota tha:


Quote:

Originally Posted by Aceones! View Post
kuch dard-e-nehaan, kuch fikr-e-jahaan, kuch sharm-e-Khata, kuch Khof-e-saza
ik bojh uThaye phirta hoon, aur bojh bhi kitna bhari hay

bojh

Woh Jo Fishaar-e-Waqt Mein, Bojh Sa Ek Dho Gaye;
'Amjad' Woh Apne Humsafar, Kaise Maze Se So Gaye

Fishaar

Phir kahin door se ik bar sada do...

$
0
0
Phir kahein door se ik bar sada do mujh ko..!!

Meri tanhai ka ehsas dila do mujh ko..!!

Tum to samandar hoon tumhein meri zarurt kya..!!

Me to pyasa hoon,


Pepsi, Coke ya Marinda hi pila do mujh ko...!!!



;)

Apne khilaf

$
0
0
Apne khilaf shehar ke andhe hujoom mein

Mujhko bohat malaal tujhe dekh ker hua

Yusuf se Parsa pe Bohtaan laga ke chhoRa

lolzz Teri Dosti :P

$
0
0
~ "Teri Dosti Mujhy Itni Pasand Haii, Jitnii......
Charsii Ko Chars
Chor Ko Purse

Gadhy Ko Laat
Ullu Ko Raat
Budhay Ko Huqqa
Pehlwan Ko Muka
MQM Ko Khaal
Ganjy Ko Baal
Gharib Ko Daal
Zardari Ko Maal
Pathan Ko Naswar
Kangly Ko Udhar
Aur...
Kaisay Samjhaun Yaar?????
I Miss You Baar Baar." ~

baad muddat unhen dekh kar yuun lagaa

$
0
0
baad muddat unhen dekh kar yuun lagaa
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarazuuon ke gul muskuraane lage
jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gayaa

tashnaa nazarein miliin shokh nazaron se jab
mai barasane lagii jaam bharane lagaa
saaqiiyaa aaj terii zaruurat nahin
bin piye bin pilaaye Khumaar aa gayaa

raat sone lagii subah hone lagii
shammaa bujhane lagii dil machalane lage
vaqt kii raushanii mein nahaaii huii
zindagii pe ajab saa nikhaar aa gayaa

har taraf mastiyaan har taraf dilkashii
muskuraate dilon mein Khushii hii Khushii
kitanaa chaahaa magar phir bhii uth na sakaa
terii mahafil mein jo ek baar aa gayaa

Wo ik masoom si chahat

$
0
0
Wo ik masoom si chahat
Wo ik benaam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mjhy mehsoos hota hai
Wo mere pas hai ub bhe
Wo jab jab yad ata hay
Nigahoun me samata hai
Zuban khamosh hoti hai
Magar ye ankh roti hai
Mein khud se puch lete hun
Usay kya pyar hai mjh se
Jawaban soch leti hun
Usay bhe pyar hai “SHAYAD”
Isi “SHAYAD” se wabsta hai
Ub to her khushi meri
Yahi ek lafz “SHAYAD”
Ban gya hai zindagi meri.

HM...

$
0
0
Ab bhi baaki hai tumhare dil mein thora sa khaloos


Is se pehle bhi humain aksar yehi dhoka howa…

Meaning of a Quote

$
0
0
Can someone tell me what the meaning of this quote is? I think it's from Allama Iqbal


“Become dust - and they will throw thee in the air; Become stone - and they will throw thee on glass.”

December

$
0
0
Mujhe ab fark nahin parta december beet jaane ka,
Udaasi meri fitrat hai isey mausam se kya lena..

Tujhe naaz hai ke main haseen hoon...

$
0
0
تجھے ناز ھے کہ میں حسین ھوں، مرے گلستاں کو زوال کیا
مجھے فخر ھے،کہ میں عشق ھوں، جو جلا نہ دوں تو کمال کیا

Sard Mosam ki shayari!

Share Halki Phulki Poetry

$
0
0
Not Mazahya.. Not too serious...But jis ko paRh kar dil o dimagh per bojh na paRe

Mehboob ki tareef, aane wale kal ke sapne.... sabz baagh, etc, etc....

jaise ye:



@hybridkamal @mahool @Microbian @ehsan @Howzat @LP @KKF

koe aesa pal

$
0
0
Koi aesa pal bhi huwa kare
Main kahun tu bas wo suna kare
Meri fursatein mere mashghale
Sabhi apne naam likha kare
Koi baat ho kisi shaam ki
Koi zikar ho kisi raat ka
Jo sunane bethon usey kabhi
Wo sune to sun ke hansa kare
Jo main kahon chalo us nagar
Jahan jugnuon ka hajoom ho
Wo palat ke dekhe meri taraf
Aur mujhko pagal kaha kare

tumhein mujhse mohabbat hai

$
0
0
Musalsal soch mein rehna
kisi say kuch nahi kehna
kisi goshey mein chup ke
khud se mehwey guftugu rehna
achanak dil may koi mitha mitha dard uthna
be-sabab be-chain ho jana
akeley beth ke rona
kayi raatain nahi sona
wo pehron bethey bethey
jane kis manzar mein kho jana
kisi aahat kisi bhi chaap se
phir chonk si parna
mere saye say bachna
samne aane se katrana
suno pagal si ae larki
kahi aur an-kahi ke darmiyan
sooli pe latki ho
tumhein maloom hai tum jaan kar
manzil say bhatki ho?
yeh mana tum bohat khud-dar ho
per yeh haqeeqat hai
Ana ik had tak achi hai
maggar us had ke agaye
yeh mehz ik khud-fareebi hai
aziyat seh rahi ho aur chup ho
kiya qayamat hai
tum akhair kyun nahi kehtin
tumhein mujh se mohabbat hai
Viewing all 6004 articles
Browse latest View live