Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all 6004 articles
Browse latest View live

Milna hai to

$
0
0
Milna Hai To Aa Jeet Le Maidan Mein Hum Ko
Hum Apne Qabilay Se Baghawat Nhi Karte

Apni mohabbbat pe

$
0
0
Apni mohabbat pe faqat itna bharosa hai mujhe
Meri wafain tujhe kisi aur ka hone nahi deingi

Faiz's poem for Mahatma Gandhi

$
0
0
Siyaasi Leader ke naam
by
Faiz Ahmed Faiz

Saal ha saal, yeh beaasraa, jakde hue haath
Raat ke sakht-o-siyaa seene mein paiwast rahe,
Jis taraah tinka samunder se ho sargarm-e-satez,
Jis taraah titli kushaar pe yalgaar kare.


Aur ab raat ke sangin-o-siyaa seene mein
Itne ghao hain, ke jis simt nazar jaati hain
Jaa-ba-jaa noor ne ek jaal-sa bun rakhkha hain.
Door se subh ki dhadkan ki sadaa aati hain.


Tera sarmaaya, teri aas yehi haath to hai
Aur kuch hai bhi tere paas? Yehi haath to hai
Tujhko manzoor nahin ghalba-e-zulmat, lekin
Tujhko manzoor hai yeh haath qalam ho jaayein


Aur mashriq ki kameen-gah mein dhadaktaa hua din
Raat ki aahani maiyyat ke tale dab jaaye!

To a Political Leader
Translated by
Mustansir Dalvi

Year after year, these pathetic, repressed hands
remain embedded in the inky heart of night,
like the growing ardor of a straw facing off the sea,
like a butterfly screaming defiance at a mountain.

And now,
so many wounds lie inflicted in night's black marble breast
that everywhere the gaze wanders it is ensnared
by a gleam that has woven a kind of web.
From afar, the booming premonition of dawn’s heart beat.

Your worldly goods, your desires are these very hands
What else do you have? Only these hands.
You will not accept the dark dive into nightfall
yet live in denial as these hands are hacked off;

while waylaid by the east, the pounding dawn lies
entombed beneath the iron carcass of night!

Faiz's poetry rendition by different singers.

Kahan Ho Tum Chale Aao Muhabbat Ka Taqaza Hai...

$
0
0
Kahan Ho Tum Chalay Aao Mohabbat Ka Taqaza Hay
Ghum -e- Dunya Say Ghabra Kar Tumhay Dil Nay Pukara Hay

Tumhari Be Rukhi Ak Din Hamari Jaan Lay Lay Gi
Qasam Tum Ko Zara Socho Keh Dastoor -e- Wafa Kia Hay

Na Janay Kis Liye Dunya Ki Nazray Phir Gaii Ham Say
Tumhay Dekha Tumhay Chaha Qasoor Is Kay Siwa Kia Hay

Na Hay Faryaad Honton Per Na Aankhon Main Koii Aansoo
Zamanay Say Mila Jo Ghum Us Nay DIL Ko Mitaya Hay

Kahan Ho Tum Chalay Aao Mohabbat Ka Taqaza Hay
Ghum -e- Dunya Say Ghabra Kar Tumay DIL Nay Pukara Hay





Ghazal by Behzad Lakhnavi

Tum Jee Lo Ge Mere Siwa!

$
0
0
Tum Jee Lo Ge Mere Siwa
Main Jee Na Paaoun Gi Tum Bin

Hazaaron Sitaron Ki Bheer Mein Bhi Dekho
Ye Chand Kitna Tanha Hai Tum Bin

Rahoon Kahii Bhi Kisi Ke Saath Bhi
Lekin
Main Udaas Hoon Tum Bin

Agar Chiragon Ki Roshni Mein Hu Main
Meri Zindagi Mein Andhera Hai Tum Bin

Baharon Ka Mausam Hai Gulshan Mein
Phoolon Mein Khushboo Nahin Tum Bin

Main Koshish Karti Hu Muskurane Ki
Mera Dil Rota Hai Tum Bin

Mera Sub Kuch To Tum Ho
Main To Kuch Bhi Nahin Tum Bin...

Ye jo zindagi ki kitaab hai !

$
0
0
Ye jo zindagi ki kitaab hai
Ye jo zindagi ki kitaab hai
Ye kitaab bhi kyaa khitaab hai
Kahi ik hasin sa khwaab hai
Kahi jaan-levaa azaab hai

Ye jo zindagi ki kitaab hai
Ye jo zindagi ki kitaab hai
Ye kitaab bhi kyaa khitaab hai

Kahi chhaonn hai kahi dhoop hai
Kahi aur hi koi roop hai
Kahi chhaon hai kahi dhoop hai
Kahi aur hi koi roop hai
Kahi chehare is mein chhupe hui
Kahi chehare is mein chhupe hui
Ik ajib si ye naqaab hai

Kahi ik hasin sa khwaab hai
Kahi jaan-levaa azaab hai
Ye jo zindagi ki kitaab hai
Ye kitaab bhi kyaa khitaab hai

Kahi kho diyaa kahi pa liya
Kahi ro liya kahi gaa liya
Kahi kho diyaa kahi pa liya
Kahi ro liya kahi gaa liya
Kahi chhin leti hai har khushi
Kahi chhin leti hai har khushi
Kahi meharaban behisab hai

Kahi ik hasin sa khwaab hai
Kahi jaan-levaa azaab hai
Ye jo zindagi ki kitaab hai
Ye kitaab bhi kyaa khitaab hai

Kahi aansuo ki hai dastan
Kahi muskurahato ka baya
Kahi aansuo ki hai dastan
Kahi muskurahato ka baya

Kahi barqato ki hai barishe
Kahi barqato ki hai barishe
Kahi tishnagi behisab hai

Kahi ik hasin sa khwaab hai
Kahi jaan-levaa azaab hai
Ye jo zindagi ki kitaab hai
Ye kitaab bhi kyaa khitaab hai.

Sab kuchh luta diya !

$
0
0
Sab kuchh luta diya faqat tujh pe bharosa kar ke,
Jane kyun bohut roye ham aaj aisa kar ke ... !

Ye Bata meri be-basi pe muskurane wale,
Kaya mila tujh ko mere dukh mein ezafa kar ke ... !!

Kaya kabhi tu ne bhi mujh se mohbbat ki thi,
Puchh zara khud ko aaine mein khara kar ke ... !!!

Kaash tu mere dard mein hamdard bana hota,
Tu ne to chhorh diya mujh ko tamasha kar ke .


dedicate to........ ::::::::::::::::::::::::: :(

Chahe Jane Ki Kise Hasrat Nahi Hoti

$
0
0

Chahe Jane Ki Kise Hasrat Nahi Hoti,
Magar Har Kisi Ki Aisi Qismat Nahi Hoti ... !

Koi Aik Hota Hai Jo Sama Jata Hai Dil Mai,
Har Kisi Se To Yun Mohabbat Nahi Hoti ... !!

Pyar Khareedna Hai To Khareedo Pyar Se,
Ye Jazba Hai Anmol Iski Qeemat Nahi Hoti ... !!!

Tum Bhool Gaye Ho To Ye Aur Baat Hai, Warna,
Bhool Jana Har Kisi Ki Aadat Nahi Hoti ... !!!!

Unko Dekhne Se Jo Milta Tha Mere Dil Ko Saroor,
Ab Kisi Ko Bhi Dekhne Se Wo Rahat Nahi Hoti

اسے کہنا یہ دنیا ہے !

$
0
0
اسے کہنا یہ دنیا ہے !

یہاں ہر موڑ پہ ایسے بہت سے لوگ ملتے ہیں !
جو اندر تک اترتے ہیں !

ابد تک ساتھ رہنے کی !
اکھٹے درد سہنے کی !
ہمیشہ بات کرتے ہیں !

اسے کہنا . . !
یہ دنیا ہے !

یہاں ہر شخص مطلب کی !
حدوں تک ساتھ چلتا ہے . . !

جونہی موسم بدلتا ہے !

محبت کے سبھی دعوے !
سبھی قسمیں !
سبھی وعدے !
سبھی رسمیں !
اچانک ٹوٹ جاتے ہیں !

اسے کہنا … . !
یہ دنیا ہے

.. :(

$
0
0
Wo jo tinka tinka ura gayi
Koi dar-o-gham ki hawaen thin

Meri bandagi mein thi kia kami
Mere waasty jo sazaen thin

Mere meherban, Mere meherban

Daayem paRa huaa teray dar par...

$
0
0
Daayem paRa huaa teray dar par nahiN hooN meiN
khaak aisi zindagi pai kay pathar nahiN hooN meiN

kyuN gardish-e-madaam sey ghabraa naa jaye dil
insaan hooN pyaala-o-saaghar nahiN hooN meiN

yaa Rab zamaana mujh ko mittaata hai kis liye
loh-e-jahaN pai harf-e-muqarrar nahiN hooN meiN

hadd chahiye sazaa meiN aqoobat kay waastey
aakhir gunah-gaar hooN, kaafir nahiN hoon MeiN

kis waastey aziz nahiN jaantay mujhey
la'al-o-zamurrud-o-zar-o-gohar nahiN hooN meiN

rakhtay ho tum qadam meri aankhoN sey kyun daregh
rishtay meiN mehr-o-maah sey kamtar nahiN hooN meiN

kartey ho mukjh ko man'a qadam-bos kis liye
kiyaa aasmaan kay bhi baraabar nahiN hooN meiN

Ghaalib wazifa khuwaar ho, dou shah ko duaa
woh din gaye jo kehtay thay nokar nahiN hooN meiN

Guzar gaye heiN jo mausam

$
0
0
Guzar gaye heiN jo mausam kabhi naa aaeiN gai
tamaam dariyaa kisi roz doob jaaeiN gai

duaaeiN, loryiaaN maaoN kay paas choR aaye
bas aik neend bachi hai khareed laaeiN gai

safar tou pehle bhi kitnay kiye magar iss baar
yeh lag rahaa hai kay tujh ko bhi bhool jaaeiN gai

alaao thanday heiN logoN nay jaagnaa choRaa
kahaani saath hai lakin kisay sunaaeiN gai

sunaa hai aage kahiN simtaiN baanti jaa rahi heiN
tum apni raah chuno saath chal naa paaeiN gai

hamaaray naqsh mittaana bohat hi mushkil hai
hazaar duur hoN Ashufta yaad aaeiN gai....

rozgaar ka mosam!

$
0
0
Meray naseeb main kab hay bahaar ka mosam,
Theher gya hay teray intazaar ka mosam.


Meray deyaar main aisay bhi log rehtay hain,
Mila nahi hay jinhen rozgaar ka mosam.


Fiza beheknay lagi ha sharaab khanay ki,
Ye kis ki aankh main dekha khumaar ka mosam.

Meri wfa hay ghalat femiyun k narghay main,
Meray khilaaf huwa koo e yaar ka mosam.

Zamana aj bhi laita hay imtehaan e wafa,
kisi ko raas na aya ye pyaar ka mosam.

Chalay bhi aao k ab dastaras main hay Mohsin,
Guzar na jaye kahi ikhteyaar ka mosam.....

دل اداس رکھنے کو

$
0
0
دل اداس رکھنے کو،
اس کی چاہ کافی ہے۔۔


اداس راتوں میں، تیز کافی کی تلخیوں میں

$
0
0
Sach Kaha :hinna:
اداس راتوں میں، تیز کافی کی تلخیوں میں
وہ کچھ زیادہ ہی یاد آتا ہے سردیوں میں .........!!



ســیاہ زُلــف : گھٹا ، جال ، جادُو ، جنگ ، جلا

$
0
0

Yeh Kia Hay :hmmm:

ســیاہ زُلــف : گھٹا ، جال ، جادُو ، جنگ ، جلال
فُسُوں ، شباب ، شکارَن ، شراب ، رات گھنی
جــبیں : چراغ ، مقدر ، کشادہ ، دُھوپ ، سَحَر
غُرُور ، قہر ، تعجب ، کمال ، نُور بھری
پَــلک : فسانہ ، شرارت ، حجاب ، تیر ، دُعا
تمنا ، نیند ، اِشارہ ، خمار ، سخت تھکی
نــظر : غزال ، محبت ، نقاب ، جھیل ، اَجل
سُرُور ، عشق ، تقدس ، فریبِ اَمر و نہی
نفیــس نــاک : نزاکت ، صراط ، عدل ، بہار
جمیل ، سُتواں ، معطر ، لطیف ، خوشبو رَچی
گـلابی گـال : شَفَق ، سیب ، سرخی ، غازہ ، کنول
طلسم ، چاہ ، بھنور ، ناز ، شرم ، نرم گِری
دو لــب : عقیق ، گُہر ، پنکھڑی ، شرابِ کُہن
لذیذ ، نرم ، ملائم ، شریر ، بھیگی کلی
نشــیلی ٹھوڑی : تبسم ، ترازُو ، چاہِ ذَقن
خمیدہ ، خنداں ، خجستہ ، خمار ، پتلی گلی
گَـلا : صراحی ، نوا ، گیت ، سوز ، آہ ، اَثر
ترنگ ، چیخ ، ترنم ، ترانہ ، سُر کی لڑی
ہتھــیلی : ریشمی ، نازُک ، مَلائی ، نرم ، لطیف
حسین ، مرمریں ، صندل ، سفید ، دُودھ دُھلی
کــمر : خیال ، مٹکتی کلی ، لچکتا شباب
کمان ، ٹوٹتی اَنگڑائی ، حشر ، جان کنی
پری کے پاؤں : گلابی ، گداز ، رَقص پرست
تڑپتی مچھلیاں ، محرابِ لب ، تھرکتی کلی











پھر سے آنکھوں میں خواب؟ انشا جی

$
0
0
پھر سے آنکھوں میں خواب؟ انشا جی
اجتناب , اجتناب , اجتناب انشا جی

نومبر کی حسین راتیں زمین پر جب اترتی ہیں

$
0
0
میرے لفظوں پہ بھاری ہیں
تمہارے ہجر کے موسم
میری غزلیں میری نظمیں
میرے اشعار روتے ہیں
نومبر کی حسین راتیں
زمین پر جب اترتی ہیں
میرے چھوٹے سے کمرے میں
تیرے اقرار روتے ہیں

Share Parveen Shakir Poetry

Viewing all 6004 articles
Browse latest View live