Wo saray samay jo beet gaye,
Kya haar gaye kya jeet gaye,
Jitny dukh sukh k railay thay,
Ham sab ne mil kar jhailay thay,
Ab shayad kuch bhi yad nahi,
Kabhi waqt mila to sochen ge,
Aapas k piyar gharondon ko,
Gurriyun k khail khilonon ko,
Geeton se mehkti kiyaari ko,
Aangan k phal phulwaari ko,
Dharti par amn ki khwahish ko,
Mosam ki pehli baarish ko,
kin hathon ne be'haal kiya,
kin qadmon se pa'maal hue,
Wo saray samay jo beet gaye,
Mil jul kar kitny saal hue,
Ye saal maheeny din gharriya'n,
Ham sab se aagy nikall gaye,
Ham jeewan rathh main jurry hue,
Kabhi sanbhal gaye kabhi phisal gye,
Daaman main sabr ki maaya hai,
Kuch aas umeed ki chhaaya hai,
Har raah main kaanty parry hue,
Har morr pe dukh hain kharry hue,
Tum barry hue tum barry hue,
Ab louri paas nahi rehti,
Tumhen neend ki aas nahi rehti,
Meri bat suno,
Meri bat suno,
Jab haa'n inkar men lipti ho,
Tasweer ghubaar main lipti ho,
Kahin rishty tootny waly hon,
Ya apne chhootny waly hon,
Jab har janib diwaaren hon,
Aur paown parri dastaaren hon,
Jab sachi baat pe hath uthen,
Phir uthnay waly hath katten,
Jab jhoot se asal badall jaye,
Insaf ki shakal badall jaye,
Jab amn ki raah na milti ho,
Aur kahin panaah na milti ho,
Kahin zulm ki aari chalti ho,
Aur dilon men nafrat palti ho,
Kaanton se bhary jangal main ager,
Rangon ki sawaari jalti ho,
Aese men lahu ki khushbu se,
Mann phulwari mehka dena,
Jaha'n jeewan sur khamosh ho,
tum,Awaz k deep jala dena,
Jab schi baton par hath katten,
Tum apna hath utha dena,
Jab koi nayi diwaar giry,
Tum anchal ko lehra dena,
aur teerah shabi k daaman main,
Ik aesi aag laga dena,
Jo nayi sehr ki aamad tak,
Is dharti ki peshani se,
Taareeki ko be'dakhal kary,
Aur andhyaaron ko qatal karay..,!!!