Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Sangsaari main to wo hath bhi utha tha

$
0
0
Parsaon ne bade zarf ka izhar kya
hum se pi aur hamen ruswa sar e bazar kya

Raat phoolon ki numaish wo khush jism se log
aap to kwab huwe aur hamen bedaar kya

Tum to resham the chattanon ki nigahdari main
kis hawa ne tume paa basta e yalghaar kya

Hum kya bure the bus ik sidq ko samjhe the sipr
wo bhi ache the ke bus yaar kaha aur waar kya

Sangsaari main to wo hath bhi utha tha Ataa
Jis ne masoom kaha jisne gunehgaar kya


By: Ataa Shaad

Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Trending Articles