Teray gham ko jaaN ki talash the , teray jaN nisar chalay gaey
Teri raah mein kartay thay sir talab , sar-e-rahguzar chalay gaey
... Teri kaj adae say haar kr shab-e-intizar chali gae
Meray zabt-e-hal say rooth kr meray gham gusar chalay gaey
Na sawal-e-vasl, na arz-e-gham, na hikayatein na shikayatein
Teray ehd mein dil-e-zar kay sabhi ikhtiar chalay gaey
Yeh hamein thay jin k libaas par sar-e-rah siyahi likhi gae
Yahi daagh thay jo saja kay hum sar-e-bazm-e-yar chalay gaey
Na raha junoon-e-rukh-e-wafa, yeh rsan yeh daar kro gay kia
Jinhein jurm-e-ishq pay naz tha , wo gunehgar chalay gaey
FAIZ AHMED FAIZ.