Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Gham--e-zindgee tera shukriya

$
0
0
Gham-e-zindagi tera shukriya – teray faiz he sey ye haal hai
Wahi subh o shaam ki uljhanein wahi raat din ka wabal hai


Na chaman mein boo-e-saman rahi naa he rung lala o gul raha
Tu kafa kafa sa hai waqayee ke ye sirf mera khayal hai


Esay kaisey ziist kahey koi ghahey aah-dil ghahey chashm-e-num
Wahi raat din ki museebatein wahi mah hai wahi saal hai


Mein ghumon sey houn jo yun mutmaeen tu bura na maniye tu mein kahon
Teray husn ka nahi faiz kuch meri aashqee ka kamal hai


Hai ye aagh kaisee laghee hovi meray dil ko aaj hova hai kiya
Jo hai ghum tu hai ghum-e-aarzo aghar hai tu fikr-e visaal hai


Koi kaash mujh ko bata sakey rah o rasm ishq ki uljhanein
Wo kahey to baat patay ki hai mein kahon to khaam khayal hai

Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Trending Articles