Aandhyon mein ik jalta hua diya reh jayega
mein guzar jaonga mera naqsh-e-pa reh jayega
khwahishon ke sab parindey shor se ur jayenge
tu khara khamosh yun hi dekhta reh jaye ga
var kar sakta to hoon mein apne dushman par magar
sochta hoon darmyan phir farq kya reh jayega
mein kisi parchhai ke peechhe nikal jaonga jab
tu gali kooochhon mein mujh ko dhoondhta reh jayega
badguman ho kar bichhar jane ka us ka gham na kar
ab to mill kar bhi dilon ka fasla reh jayega
doob kar ubhron ga darya par mein aarif shafeeq
mujma ahbab sahil par khara reh jaye ga