Dard hote hain kai dil mein chhupane ke liye
sab ke sab aansu nahin hote bahane ke liye
umar tanha kaat di wade nibhane ke liye
ahd bhandha tha kisi ne aazmane ke liye
ye qafs hai ghar ki zebaish barhane ke liye
ye parinde to nahin hain aashyane ke liye
kuch diye deewar pe rakhe hain waqat intzar
kuch diye laya hoon palkon par jalane ke liye
wo bezahir to mila tha ek lamhe ko adeem
umar sari chahye us ko bhulane ke liye
log zer-e-khak bhi to doob jate hain
ik samundar hi nahin hai doob jane ke liye
tu pas-e-khanda labi aahon ki awazain to sun
ye hansi to aati hai ansu chhupane ke liye
koi gham ho koi dukh ho dard koi ho adeem
muskurana par hi jata hai zamane ke liye