kisi aur gham mein itni khalish nihaan nahin hai
gham-e-dil merey rafiqoun! gham-e-raayegaan nahin hai
koi hum-nafas nahin hai koi raaz-daan nahin hai
faqat aik dil thaa ab tak sou woh mehrbaan nahin hai
meri rooh ki haqeeqat merey aansuon sey poochou
mera majlisi tabassum mera tarjumaan nahin hai
kisi zulf kou sadaa dou, kisi aankh kou pukaaro
bari dhoop par rahi hai koi saayebaan nahin hai
inhi pathroun pai chal kar agar aa sako tou aao
merey ghar key raastey mein koi kehkashaan nahin hai
(Mustafa zaidi)