Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

zindagi akhir zindagi hai

$
0
0
Yeh dekhna hai ke kahani kahan badalti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

naa ummeedi mayoosi dil pe liye baitha hoon main
par sochta hoon ek pal ke liye bhi
saansein kahan thamti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

patharon ke chot ki parwah nahi mujhe
par phoolon se milli chot aankhein nam karti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

jashn kabhi manzil ka nahi safar ka hota hai
naa jaane zindagi kin halaaton se guzarti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

waqt ka takaza kaho ya kaho
khel haatho ki lakeeron ka
taqdeer sirf baaton ke
dam par kahan badalti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

muskurate hue har dard seh sakte hai
par kissi ki khamoshi dil ko bohat khalti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

dhoop aur chaao har safar ka hissa hai
mushkilon se larhkar hi
humesha takdeer nikharti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Trending Articles