Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all 6004 articles
Browse latest View live

muraadoN ke mazaaroN paR wafa ghamgeeN rehti hey (beautiful gazal by Amal)

$
0
0
Falak be'cheiN rehta hey hawa ghamgeen rehti hey
dhanak ke toot jaaney par fiza ghamgee n rehti hey

lehad ka peit bharney ko wo saaNseiN loot leti hey
magar phir deir tak shaaed qaza ghamgeen rehti hey

kabhi aaNkheiN bohat kuch keh to deti heiN magar phir bhi
sama'at takna jo pohNchey, sadaa ghamgeen rehti hey

mohabbat sey taraashey khaab aksar toot jaaney par
muraadoN ke mazaaroN par wafa ghamgeen rehti hey

hazoor-e-maalik-o-maghfoor deti hey duhai par
jo poori ho nahi paati, duwa ghamgeen rehti hey

khizaaN meiN bhi chaman sey yuN to milti roz hey lekin
bahaaroN ke palatney tak sabaa ghamgeen rehti hey

taqaaza hey ye qudrat ka jo karni hey so bharni hey
magar na'haq miley to phir sazaa ghamgeen rehti hey
------------------------------------------

Amjad Islam Amjad's poetry by different singers

$
0
0
listened to Rahat Fateh Ali Khan's 'Maine usse dekha hai' after a long time. The flow of the poetry an dcomposition is just superb. Thought to share some of other pieces written by Amjad Islam Amjad sung by different singers. Please contribute, if you know any such song, ghazal, nazm.
@madz124 @jiia @hybridkamal @Howzat

SaanpooN Kay Muqaddar MaiN Woh Zahr KahaN

Taira Chahra Inn AankhooN maiN Purana Hogia Hay

Jins-e-duniya se guzar jatay hain

$
0
0
Jins-e-duniya se guzar jatay hain
Aisa karte hain kay mar jatay hain

Kaise hotey hain bicharney walay
Hum yeh sochein bhi tu darr jatay hain

Dil jo tootey tu sar-e-mehfil bhi
baal bewaja bikhar jatay hain

Ab na dekho meri banjar ankhein
Chartey durrya tu utar jatay hain

Ab na mour mour kay pukaro unko
Log rastey main tehar jatay hain

Kaali damaan se shikayat kaisi?
Ashk ankhon mein tu bhar jatay hain

Tum kahan jaoge socho Mohsin?
Log thak-haar kay ghar jatay hain

گفتگو کے لمحوں میں

$
0
0


گفتگو کے لمحوں میں


دیکھ ہی نہیں پاتے


ہم تمھارے چہرے کو


تم ہماری آنکھوں کو


آج ایسا کرتے ہیں


چشم و لب کو پڑھتے ہیں


بات چھوڑ دیتے ہیں...!!



طے تو یہ تھا کہ سجاتا رہے لفظوں کے کنول

$
0
0


طے تو یہ تھا کہ سجاتا رہے لفظوں کے کنول
میرے خاموش خیالوں میں تکلم تیرا
رقص کرتا رہے،بڑھتا رہے خوشبو کا خمار
میری خواہش کے جزیروں میں تبسم تیرا
تو مگر اجنبی ماحول کی پروردہ کرن
میری بجھتی ہوئی راتوں کو سحر کر نہ سکی
تیری سانسوں میں مسیحائی تھی، لیکن تو بھی
چارہِ زخم دیدہِ ترکر نہ سکی
تجھ کو معلوم ہی کب ہے کہ کسی درد کا داغ
آنکھ سے دل میں اتر جائے تو کیا ہوتا ہے؟
تو ! کہ سیماب طبیعت! تجھے کیا معلوم
موسم ہجر ٹھہر جائے تو کیا ہوتا ہے
تو نے اس موڑ پہ توڑا ہے تعلق کہ جہاں
دیکھ سکتا نہیں کوئی بھی پلٹ کر جاناں

محسن نقوی




Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen Yahood?

$
0
0
Shor Hai Ho Gaye Dunya Se Musalman Nabood
Hum Ye Kehte Hain Ke The Bhi Kahin Muslim Maujood!

Waza Mein Tum Ho Nisara, Tau Tamaddun Mein Hanood,
Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen Yahood?

Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho!

Stanza(17)
Jawab e shikwa

Naya Shiwala

$
0
0
@the kaur;




Naya Shiwala
A New Altar


Sach Keh Doon Ae Barhman! Gar Tu Bura Na Mane
Tere Sanam Kadon Ke Butt Ho Gye Purane

I’ll tell you truth, oh Brahmin, if I may make so bold!
These idols in your temples—these idols have grown old,


Apnon Se Bair Rakhna Tu Ne Button Se Se Sikha
Jang-o-Jadal Sikhaya Waaiz Ko Bhi Khuda Ne

To hate your fellow‐mortals is all they teach you, while
Our God too sets his preachers to scold and to revile;


Tang Aa Ke Main Ne Akhir Dair-o-Haram Ko Chora
Waaiz Ka Waaz Chora, Chore Tere Fasane

Sickened, from both your temple and our shrines I have run,
Alike our preachers’ sermons and your fond myths I shun.


Pathar Ki Mootraton Mein Samjha Hai Tu Khuda Hai
Khak-e-Watan Ka Mujh Ko Har Zarra Devta

—In every graven image you fancied God: I see
in each speck of my country’s poor dust, divinity.


Aa, Ghairiat Ke Parde Ek Baar Phir Utha Dain
Bichron Ko Phir Mila Dain, Naqsh-e-Dooi Mita Dain

Come, let us lift suspicion’s thick curtains once again,
Unite once more the sundered, wipe clean division’s stain.


Sooni Pari Huwi Hai Muddat Se Dil Ki Basti
Aa, Ek Naya Shiwala Iss Dais Mein Bana Dain

Too long has lain deserted the heart’s warm habitation—
Come, build here in our homeland an altar’s new foundation,


Dunya Ke Teerathon Se Ucha Huwa Apna Teerath
Damaan-e-Asman Se Iss Ka Kalas Mila Dain

And rise a spire more lofty than any of this globe,
With high pinnacle touching the hem of heaven’s robe!


Har Subah Uth Ke Gayen Mantar Woh Meethe Meethe
Sare Pujariyon Ko Mai Peet Ki Pila Dain

And there at every sunrise let our sweet chanting move
The hearts of all who worship, pouring them wine of love:


Shakti Bhi, Shanti Bhi Bhagton Ke Geet Mein Hai
Dharti Ke Basion Ki Mukti Pareet Mein Hai

Firm strength, calm peace, shall blend in the hymns the votary sings—
For from love comes salvation to all earth’s living things.

Andaz-e-Byan Gharche Bohat Shaukh Nahin Hai!!

$
0
0
Andaz-e-Byan Gharche Bohat Shaukh Nahin Hai
Shayad Ke Utar Jaye Tere Dil Mein Meri Baat

Ya Wusaat-e-Aflak Mein Takbeer-e-Musalsal
Ya Khak Ke Aghosh Mein Tasbeeh-o-Munajat

Woh Mazhab-e-Mardan-e-Khud Agah-o-Khuda Mast
Ye Mazhab-e-Mullah-o-Jamadat-o-Nabataat

Qataa
Allama Iqbal

Time Pass*~*OCTOBER ~*~

$
0
0
:salam: dosto

HELLO OCTOBER :aisha:

:welcome: please be awesome for us

lets celebrate

HAPPY EID Ul ADHA :flowers:
HAPPY DIWALI :blush:
HAPPY HOLLOWEEN:smooth:


:jiia: :jiia: :jiia:


lafz ba lafz ~*~october~*~

Bait Baazi - October

$
0
0
kyaa bataayen pyaar kii baazii vafaa kii raah mein
kaun jiitaa kaun haaraa ye kahaanii phir sahii

seen/ye

seher qareeb hy , ALLAH ka naam le saqi !!!!!!!

ye kesa jabar hy me kis k ikhtiyar me hun


orr phir tumhara orr mera rishta hi kiya tha ?

na khirad ki bakhiya giri rahi na janu ki perda dari rahi

Share Poetry on Eid-Ul-Adha

$
0
0
@mahool; :hat:

In this thread we ll share poetry on Eid-Ul-Adha.

My 1st sharing in this thread :D


Mohammed Rafi "Sauda" Poem meaning

$
0
0
Dil se maine poocha, ki ishk ki raah,
Kis taraf meherbaan padti hai,
Kaha unne ki na yeh Hindustan,
Na yeh su-e-Isfahan padti hai,
Yeh doraaha jo kufr-o-deen ka hai,
Dono ke darmiyaan padti hai.
- Mohd. Rafi "Sauda

Can anyone tell me the meaning of this poem?
Thank you

Abhi Tuk Yaad Kar Rahay Ho

Viewing all 6004 articles
Browse latest View live