Apni her baat bhool gaya wo guzre hue kal ki Tarha
Toot kar jise chaha tha pagal ki Tarha
Phir meri hasti bhi mit jaye to zara gham nahi,
Bus do pal aankh me saja lo kajal ki Tarha
Rat dhaltey hi seeney me dard ki lehar uthti hai,
Thehre hue pani me kisi halchal ki Tarha
Mujhe kis taraf jana hai kuch khabar nahi
Mere raastey bhi kho gaye meri manzil ki Tarha
Zara si thokar lagi to kirchi kirchi ho gaya,
Aayina bhi nikla bilkul mere Dil ki Tarha.