Gar Mujhay Is Ka Yaqeen Ho Mere Humdam Mere Dost!
Gar mujhay is ka yaqeen ho keh tere dil ki thakan
Teri Aankhon ki udasi, Tere Seenay ki Jalan
Meri dil joee, Mere Pyar say mitt jaye gi
Gar mera Harf-e-Tassali woh dawa ho jis say
Ji uthay phir tera Aazra hua bay-noor dimagh
Teri Paishani say dhul jain yeh tazleel kay daagh
Teri bimaar jawani ko shafa ho jaye
Gar mujhay is ka yaqeen ho mere Humdam mere Dost!
Roz-o-shab, Sham-o-saher main tujhay behlata rahoon
Main tujhay geet sunata rahoon halkay, Shireen
Aabsharon kay, Baharon kay, Chaman Zaaron kay geet
Amad-e-subah kay, Mehtab kay, siyyaron kay geet
Tujh say main Husn-o-Mohabbat ki hikayat kahoon
Kaisay ik chehray kay tehray huye maanoos naqoosh
Dhektay dhektay,Yakh’lakht badal jatay hain
Kesay Gulchee`n kay liye jhalakti hay khud shaakh-e-gulab
Kis tarah raat ka aiwaan mehak jata hay
Yoon he Gata rahoon…gata rahoon teri kaahtir
Yeh mere Geet teray dukh ka madawa he nahi
Naghma jarah nahi, Manoos-o-Ghum’ khuaar sahi
Geet nashtar to nahi, Marhum-e-Aazaar sahi,
Tere Aazaar ka chaara nahi nashtar kay siwa
Aur yeh Safaak Maseeha Mere Qabzay main nahi
Is jahan ki kisi Zee-Rooh kay Qabzay main nahi
Haan Magar Tere Siwa…Tere Siwa…Tere Siwa…..