Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

guzre haiN tire baad bhi kuChh log idhar se

$
0
0
guzre haiN tire baad bhi kuChh log idhar se
lekin tirri khushboo na gayi raahguzar se

kyuN duubti bhujti hui aankhoN meN hai raushan
raatoN ko shikaayat hai to itni hai sahar se

larza tha badan us ka mire haath se Chhuu kar
dekha tha mujhe us ne ajab mast nazar se

kya Thhaan ke nikla tha kahaaN aa ke paRa hai
puuChhe to koi is dil-e-sharminda safar se

aaya hai bahut der meN voh shaKhs par us ko
jazbaat ki is bhiiR meN dekhuuN maiN kidhar se

ham rizq-e-guzargaah to Khashaak the lekin
voh log jo nikle the hava dekh ke ghar se

aisa to nahiiN, meri tarah sarv-e-lab-e-juu
qadamoN pe khaRaa ho kisi uftaad ke Dar se

din the k hameN shahr-e-badan tak ki Khabar thi
aur ab nahiiN aaghah tere khair Khabar se

Amjad na qadam rok k voh duur ki manzil
nikle gi kisi roz isii gard-e-safar se

Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Trending Articles