Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhay
Kisi ko sairaab kare woh kise pyaasa rakhay
Umar bhar kaun nibhaata hai talluk itna
Ae meri jaan ke dushman tujhe Allah rakhay
Humko acha nahiN lagta koi hum-naam tera
Koi tujhsa ho tu phir naam bhi tujh sa rakhay
Dil bhi pagal hai us shaks se waabasta hai
Jo kisi aur ka na hone de, na apna rakhay
Kam nahiN tamaa-e-ibaadat bhi to hirs-e-zar se
Fuqr to wo hai ke jo deen na duniya rakhay
Hans na itna bhi faqeeroN ke akelepan par
Jaa, Khuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakhay
Yeh qana'at hai, ita-att hai ke chahat hai, Faraz
Hum to raazi hai wo jis haal meiN jaisa rakhay
~Ahmed Faraz