sar mein saudaa bhii nahin dil mein tamannaa bhi nahin
lekin is tark-e-mohabbat kaa bharosaa bhi nahin
yun to hangaame uthaate nahin deevaanaa-e-ishq
magar ae dost kuchh aison kaa Thikanaa bhii nahin
muddaten guzarin teri yaad bhi aai na hamen
aur ham bhuul gae hon tujhe aisaa bhi nahin
ye bhi sach hai ke mohabbat mein nahin main majabuur
ye bhi sach hai ke teraa husn kuchh aisaa bhii nahin
dil ki gintii na yaganon mein na begaanon mein
lekin is jalvaagaah-e-naaz se uthtaa bhii nahin
bad gumaan ho ke mil ae dost jo milna hai tujhe
Be jhijhakte hue milna koi milna bhi nahin
shikva-e-jaur kare kya koi us shokh se jo
saaf qaayal bhi nahin saaf mukartaa bhi nahin
meharbaani ko mohabbat nahin kahate ae dost
aah ab mujhse teri ranjish-e-bejaa bhi nahii.n
baat ye hai ki sukuun-e-dil-e-vahashi kaa maqaam
kunj-e-zi.ndaa.N bhi nahin vusa'at-e-seharaa bhi nahin
munh se ham apne bura to nahin kahate ke 'Firaq'
hai tera dost magar aadmi achaa bhi nahin