Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

ek Aaarzoo

$
0
0
Duniya ki mehfil se ukta gaya hoon ya rab,

Kya lutf anjuman ka jab dil he bujh gaya ho,

Shorish se bhagta hoon dil dhoondta hai mera,

Aisa sukoot jis par taqreer bhi fidaa ho,


Martaa hoon khamushi par ye aarzoo hai meri,

Daman mai koh ke ek chota sa jhopda ho,

Aazad fikar se hoon uzlat main din guzaarun,

Duniya ke ghum ka dil se kaanta nikal gaya ho,


Lazzat *surood ki ho chidiyon ke chehchahon main

Chashmon ki shoriyon main baja sa baj raha ho,

Gul ki kali chatak kar paigham de kisi ka,

Saghar zara sa goya mujhko*jahan'numan ho,

Ho haath ka sarhana sabze ka ho bichhona

Sharmaye jis se *zalwat *khilwat mai wo ada ho,

Manoos is qadar ho surat se meri bulbul,

Nan'neh se dil mai uske khatka na kuch mera ho,

Saf baandhe dono janib boote hare -hare ho'n,

Nadi ka saaf paani tasweer le raha ho,

Ho *dil-faraib aisa *koh-e-sor ka nazara,

Paani bhi mauj bankar uth-uth ke daikhta ho,

Aaghosh mai zamin ki soya hua ho sabza,

Phir- phir ke jhadiyon mai paani chamak raha ho

Paani ko chhu rahi ho jhuk jhuk ke gul ki tehni,

Jaise haseen koi aina daikhta ho,

Mehndi lagaye suraj jab shaam ki dulhan ho,

Surqki Liye sunheri har phool ki *qaba ho,

Raaton ko chalne wale reh jayein thakk ke jis dam,

Ummeed inki mera toota hua diya ho,

Bijli chamk ke inko kut'iya meri dikha de,

Jab aasman pe har su badal ghira hua ho,

Pichhle pehar ki koyal wo subha ki *moazzin,

Mai inka *humnawa'n hoon wo meri humnawa ho,

Kaano pe na ho mere dair-o-huram ka ehsa'n

*Rozan he jhopdi ka mujhko*seharnuma ho,

daine wala Phoolon ko aye jis dam shabnam Wuzoo karane,

Rona mera wuzoo ho *na'ala meri dua ho,

Iss khamushi mai jayein itne bulund na'ale,

Taaro'n ke qafile ko meri *sadadira ho,

Har Dardmand dil ko rona mera rula de,

Behosh jo pade hain shayad unhe jaga de.

Allama Iqbal
Meanings of few words:
Shorish = Shor - Sharaba
Uzlat = Musti / Befiakri
Surood = Geet
Jahan'numan = Jis main poori duniya dikhai de.
Zalwat = sab ke saath / Mehfil
Khilwat = Akela pan / Tanhai
Dil-Faraib = Dil khush karne wala
Koh-e-sor = Pahad / Oonchai
Qaba = Chadar / Audhni
Moazzin = Aazaan dene wala
Humnawa'n = Saarhi / Dost
Rozan = Suraakh / chhaid
Seharnuma = Subha ki khabar
Na'ala =Fariyad
Sadadira = Aawaz pohchane wala

Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Trending Articles