ham ne rakkhaa thaa jise apnii kahaanii me.n kahii.n
ab vo tahriir hai auraaq-e-KHizaanii me.n kahii.n
bas ye ik saa.at-e-hijraa.n hai ki jaatii hii nahii.n
ko.ii Thahraa bhii hai is aalam-e-faanii me.n kahii.n
jitnaa saamaa.n bhii ikaTThaa kiyaa is ghar ke liye
bhuul jaa.e.nge use naql-e-makaanii me.n kahii.n
KHair auro.n kaa to kyaa zikr ki ab lagtaa hai
tuu bhii shaamil hai mire ranj-e-zamaanii me.n kahii.n
chashm-e-namnaak ko is darja haqaarat se na dekh
tujh ko mil jaanaa hai ik din isii paanii me.n kahii.n
markaz-e-jaa.n to vahii tuu hai magar tere sivaa
log hai.n aur bhii is yaad puraanii me.n kahii.n
jashn-e-maatam bhii hai raunaq sii tamaashaa.ii ko
ko.ii naGma bhii hai is marsiya-KHvaanii me.n kahii.n
aaj ke din me.n kisii aur hii din kii hai jhalak
shaam hai aur hii is shaam suhaanii me.n kahii.n
kyaa samajh aa.e kisii ko mujhe maaluum bhii hai
baat kar jaataa huu.n mai.n apnii ravaanii me.n kahii.n