chhootta jo tera haath to hum toott k roye
tum jo na rahe saath to hum toott k roye
chaahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne
paai jo ye soghaat to hum toott k roye
imkaan na tha door talak tajdeed_e_talluq ka
dekhe jo ye haalaat to hum toott k roye
anjaan thay hum ab tak dard ki soorat se
hui jo mulaqaat tou hum toott k roye
jeeti thi sadaa hum ne her baazi tere saath
tanha jo sahi maat tou hum toott k roye
logon ne bohat poocha sabab wiraani_e_dil ka
jub ho na saki baat to hum toott k roye
thi dhoop bohat taiz her simt judaayi ki
barsi jo na bersaat to hum toott k roye
zadd meiN tha khazaaoN ki ab k dil_e_berbaad
bichrre jo shajr-paat tou hum toott k roye
din bhar to rahe chup k duniya ki nazar thi
bheegi jo siyah raat tou hum toott k roye
samjha tha sada tum ko apna he koi hissa
tukrron meiN batti zaat to hum toott k roye
hum kerte rahe aaj talak us chaaNd ki khwahish
yaad aayi jo auqaat to hum toott k roye