Bohat ruk ruk key chalti hai hawaa khaali makaanoN meiN
bujhey tukRey paRey heiN cigarette key raakh daanoN meiN
dhuweN sey aasmaaN kaa rang mailaa hotaa jaataa hai
harey jungle badaltey jaa rahey heiN kaarkhaanoN meiN
bhali lagti hai aankhoN kou naye phooloN ki rangat
puraaney zamzamey bhi goonjtey rehtey heiN kaanoN meiN
wohi gulshan hai lakin waqt ki parwaaz tou dekho
koi taair (parinda) nahiN pichley baras key aashiyaanoN meiN
zubaaN par ulajhtey dostoN kou koun samjhaaye
mohabbat ki zubaaN mumtaaz hai saari zubaanoN meiN
(Ahmed Mushtaaq)