Bohat achcha bhi lagtaa hai
achaanak iss tarhaN dil kaa doobara mubtilaa honaa
mohabbat aashnaa honaa
magar jab dekhtaa hoon
waqt kitnaa jaa chukaa hai
raastouN ki dhool
qadmouN aur sarouN par kis tarhaN jum chuki hai
aur hum tum
apni apni zindagi key daayirouN meiN
apni apni gardishoN meiN
iss tarhaN uljhey huey heiN
jiss tarhaN dasht-e-falak meiN saath chaltey
dou sitaarey
jou bazaahir paas lagtey heiN
magar unn ki rafaqat meiN
karoRoun meel ki tanhaai kaa dariya bhi hotaa hai
yeh dariya paar kaisey hou?
naa tum hou uss kinaarey par
naa hum hein iss kinaarey par
so behtar hai
hum apney apney dariyaaouN key iss khalaa meiN
ghoomtey jaaeiN
sitaarouN ki tarhaN
ik saath chamkeiN aur damkeiN tou sahi lakin
yeh apney beech jou faaslouN kaa surkh dariya hai
issey tasleem hi kar leiN
key iss be-pul key dariya meiN
naa tum hi tair saktey hou
naa hum hi tair saktey heiN
Bohat achcha tou lagtaa hai
achaanak iss tarhaN dil kaa mohabbat aashnaa honaa
doobara mubtila honaa
(AMJAD ISLAM AMJAD)