:hug: ~ :flowers:
Iss waqt to youn lagta hai ab kuch bhi nahin hai
mahtaab na suraj na andhera na saweraa
Aankhon ke dareeche main kisi husn ki jhalkan
aur dil ki panaahon main kisi dard ka dera
Mumkin hai koi wehem ho mumkin hai suna ho
galiyon main kisi chaap ka ek akhiri phera
Shaakhon main khayaalon ke ghane per ki shayad
abb aa ke karega na koi khwaab basera
Ik bair na ik mahar na ik rabt na rishta
tera koi apna na paraaya koi mera
![]()
:snooty:Maana ke ye sun-san ghari sakht bari hai
:hypo:lekin mere dil ye to faqat ek ghari hai
:k:himmat karo jeene ko abhi umr pari hai