Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Drone Hamlon per ik Nazm

$
0
0
nam mera hai Gul Badshah
umr meri hai taira baras
aur kahani meri!..meri umr ki tarah say mukhtasar.

meri beNaam beChehra Maa.n BeDawa Mar Gayi!
Baap nay ussay Burquey mai.n Dafna dya
Takah Munkir, Nakeer us ka Chehra na Daikhai.n-
waisay zinda thi jab bhi Madfoon thi…

Baap ka nam Zartaj Gul!
Umr Batees Baras.
Woh Mujahid, Shahadat ka talib,
Rah-e-Haq ka Musafir hua…
Aur Jam-e-Shahadat bhi Ussnay
Apney Bhai kay Hatho.n piya
jo Shumali Mujahid tha aur punj waqta namazi bi tha
Mas`ala iss Shahadat ka Paicheeda hai!
Isko Behtar yehi hai, Yahi.n chorr Dai.n
Ab Baharhal…
Baba to Jannat mai.n hai
Uskay hatho.n mai.n Jam-e-Tahoor
Uski banhoo.n mani.n Hoor o Kasoor
Meri Qismat mai.n Bam Dhamakay, Dhua.n
Dehakti hui Yeh Zameen…Bikhirta Hua Aasman
.
Baad aZ Marg woh Zinda hai
aur zindagi mujh say sharminda hai..
….
…..
Kal Sar-e-Sham ,
Dushman nay jatey huay mujh par barsa Diye peelay thailay
Jin say mujh ko milay
Gol Roti kay tukray, aik makhan ki tikiya,
aik Sharbat ki Botal, Murrabey ka Dibba!
Isskay badlay mai.n wo lay gaye…
Meray Bhai ka Dast-e-Mushaqat
Jis mai.n Mannat ka Dora Bandha tha
aur meri choti behan ka woh pao.n
Jis say Rang-e-Henna Phot-ta tha.


For English Translation:
The Story of Gul Badshah – Z. Nigah | Jahane Rumi

Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Trending Articles