Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech
Ab to khulnay lgay maktal bharay bazar k beech
Apni poshaak k chin janay pay afsos na kr
Sar salamat nhi rehtay yahan dastaar k beech
Surkhiyan aman ki talqeen mein masroof rahin
Huroof barood ugaltay rahay akhbar k beech
Kash is khawab ki tabeer ki mohlat na milay
Sholay ugtay nazar aaye mujhy gulzar k beech
Dhaltay suraj ki tamazat ne bikher kr dekha
sar kasheeda mila saya saf-e-ashjaar k beech
Rizq, malboos, makan, saans, marz, qarz, dawa
Munqasim ho gya insan inhi afkaar k beech
Dekhay jatay na thay meray ansoo jis se Mohsin
Aj hanstay huay dekha usay aghyaar k beech
Mohsin Naqvi