Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Dil-e-be khabar

$
0
0
Dil-e-be khabar, zara hosla..!


Koi aisa ghar bhi hai shehar mein, jahan har makeen ho mutma’in?


Koi aisa din bhi kahee’n pe hai, jisay khof-e-aamad-e-shab nahi?


Ye jo gard baad-e-zamaa’n hai, ye azal se hai, koi ab nahi..!





Dil-e-be khabar, zara hosla..!


Ye jo khaar hain tere paao’n mein, ye jo zakhm hain tere hath mein


Ye jo khwab phirtay hain dar-ba-dar, ye jo bat uljhi hai bat mein


Ye jo log bethay hain ja-ba-ja, kisi an-banay se dayaar mein


Sabhi aik jese hain sar-giraa’n, gham-e-zindagi k fishar mein


Ye saraab yunhi sada se hain, isi raigzaar-e-hayat mein


Ye jo raat hai tere chaar-su, nahi sirf teri hi ghaat mein





Dil-e-be khabar, zara hosla..!


Tere saamnay wo kitab hai, jo bikhar gyi ho waraq waraq


Hmain apnay hissay k waqt mein, isay jorna hai sabaq sabaq


Hain ibaart’ain zara mukhtalif, magar aik asl-e-sawal hai


Jo samajh sako to ye zindagi, kisi haft-khwaa’n ki misaal hai





Dil-e-be khabar zara hosla, nahi mustaqil koi marhala


Kya ajab keh kal ko yaqeen banay, ye jo muztarab sa khayal hai


Kisi roshni mein ho munqalib, kisi sarkhushi ka naqeeb ho


Ye jo shab numa si hai be-dili, ye jo zard-ru sa malal hai





Dil-e-be khabar, zara hosla…!

Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Trending Articles