Aa kisi Roz kisi Dukh pe ikathay Ro'ain
Jis tarah Marg Jawa'n Saal pe Dehaaton me
Bhooriyaa'n Rotay hoye
Bai'n kiya karti hen
Jis tarah aik siyan Posh
Parinday kay girnay se
Daar kay Daar
Zameenon pe utar aatay hen
Cheekhtay, Shor machaatay hoy, Karlaatay hoy..
Apne Mehroom Rawayyon ki Alam-naaki per
Apni Tanhai kay Weerano'n men
Chup kar Rona
Ek Naye Dukh kay
Izaafay kay siva kuch bhi nahi
Apni he Zaat kay
Ghunjal main Olajh kar Tanha
Apne Gumraah Maqaasid say
Wafaa theek nahi
Qaafila chor kay
Sehra men Sadaa theek nahi
Ham Parinday hain na Maqtool Hawaain
pher bhi...
Aa kisi Roz kisi Dukh pe ikathay Ro'ain
Jis tarah Marg Jawa'n Saal pe Dehaaton me
Bhooriyaa'n Rotay hoye
Bai'n kiya karti hen
Jis tarah aik siyan Posh
Parinday kay girnay se
Daar kay Daar
Zameenon pe utar aatay hen
Cheekhtay, Shor machaatay hoy, Karlaatay hoy..
Apne Mehroom Rawayyon ki Alam-naaki per
Apni Tanhai kay Weerano'n men
Chup kar Rona
Ek Naye Dukh kay
Izaafay kay siva kuch bhi nahi
Apni he Zaat kay
Ghunjal main Olajh kar Tanha
Apne Gumraah Maqaasid say
Wafaa theek nahi
Qaafila chor kay
Sehra men Sadaa theek nahi
Ham Parinday hain na Maqtool Hawaain
pher bhi...
Aa kisi Roz kisi Dukh pe ikathay Ro'ain