Gham-e-aashiqui sey keh dou raah-e-aam tak naa pauhnchey
mujhey khouf hai yeh touhmat meray naam tak naa pauhnchey
meiN nazar sey pii raha thaa tou yeh dil ney bad-duaa di
teraa haath zindagi bhar kabhi jaam tak naa pauhnchey
naii subah par nazar hai magar aah yeh bhi dar hai
yeh sahar bhi rafta rafta kahiN shaam tak naa pauhnchey
woh navaa-e-muzamahil kiyaa naa hou jis meiN dil ki dhaRkan
woh sadaa-e-ahl-e-dil kiyaa jou awaam tak naa pauhnchey
unheiN apney dil ki khabreiN meray dil sey mil rahi heiN
meiN jou unn sey rooth jaauN tou payaam tak naa pauhnchey
yeh adaa-e-beniaazi tujhey bewafaa mubaarak
magar aisi berukhi kiyaa key salaam tak naa pauhnchey
jou naqaab-e-rukh uthaa di tou yeh qaid bhi lagaa di
uthey har nigaah lekin koi baam tak naa pauhnchey
wohi ik khamosh naghma hai shakeel jaan-e-hasti
jou zubaaN tak naa aaye jou kalaam tak naa pauhnchey
(Shakeel Badayuni)