Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Mein akela hi chalaa thaa jaanib-e-manzil

$
0
0
Jab huaa irfaaN tou gham aaraam-e-jaaN bantaa gayaa
soaz-e-jaanaN dil mein soaz-e-deegaraaN bantaa gayaa

rafta rafta munqalib hoti gayi rasm-e-chaman
dheere dheere naghma-e-dil bhi fughaaN bantaa gayaa

mein tou jab manooN key bhar dey saaghar-e-har khaas-o-aam
yooN tou jou aayaa wohi peer-e-mughaaN bantaa gayaa

mein akela hi chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
loag saath aatey gaye aur karvaaN bantaa gayaa

jis taraf bhi chal paRey hum aabla paayaan-e-shouq
khaar sey gul aur gul sey gulistaaN bantaa gayaa

sharah-e-gham tou mukhtasir hoti gayi unn key huzoor
lafz jou munh sey naa niklaa dastaaN bantaa gayaa

dehr mein majrooh koi jaavedaaN mazmuN kahaaN
mein jisey choota gayaa woh jaavedaaN bantaa gayaa

Poet: Majrooh sultanpuri

Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Trending Articles