Quantcast
Channel: GupShup Forums - Intikhaab
Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Bekaran Tanhion Ka Silsala Reh Jaye Gaa

$
0
0


Bekaran Tanhion Ka Silsala Reh Jaye Gaa
Tere Mere Darmiyan, Bas Ekk Khalla Reh Jaye Gaa

Aks Beh Jaingey Sarey Dhoop K Sailab Mein
Aor Koi Panion Mein Jhankta Reh Jaye Gaa

Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpesh Hai
Rasta Katt Bhi Giya To Fasla Reh Jaye Gaa

Log So Jaingey Khamoshi Ki Chadar Orhh Kar
Chaand Sooney Aangnon Mein Jagta Reh Jaye Gaa

Jo Kabhi Uss Ney Parhein Thein Mujh Se Nasir Maang Kr
Naam Mera Unn Kitabon Mein Likha Reh Jaye Gaa

Nasir Kazmi

Viewing all articles
Browse latest Browse all 6004

Trending Articles