salaam dosto
kaise mizaaj haiN? ummeed hai k ba_Khair hoNge.
SaaHir Ludhianvii kii ek filmii Ghazal pesh kartaa huN aur ummeed kartaa huN k aapko pasand aayegii.
mulaaHizah farmaaiye:
jitnii likkhii thii muqaddar meN hum utnii pii chuke
ab to din marne ke haiN jiinaa thaa jitnaa jii chuke
ai zamaane! ab na aanaa humko samjhaane kabhii
apnii kah lii, sabkii sun lii, hoNT ab to sii chuke
ab hamaarii Khushk aankhoN meN na kuch DhuunDhee koii
ashk jitne in meN the vo sab ke sab hum pii chuke
zindagii aur maut donoN ek haiN apne liye
ab kisii ko kia bataayeN mar chuke yaa jii chuke
ghar se be_ghar ho gaye, ab ghar ki yaad aaye to kiuN?
zindagii piichhaa na kar, hum jii chuke, hum jii chuke
faqat muKhlis
_______KKF