Boht sajaye they aankhon mein khuwab meine bhi
Sahay hain us k liye ye azab meine bhi. .
Judaion ki khalish us ne bhi zahir na ki
Chupaye apny ghum-o-iztaraab meine bhi. .
Diye bujhaye k sar-e-shaam so gaya tha wo
Bitai so k shab-e-mahtaab meine bhi. .
Yehi nahi k mujhy us ne dard-e-hijr diya
Judaion ka diya hai jawab meine bhi. .
Kisi ne khoon mein tar choorian jo bheji hain
Likhi hai khoon-e-jigar se kitaab meine bhi. .
Khizan ka waar bhi kaargar tha dil per magar
Boht bacha kar rakha ye gulab meine bhi. . !