Meray liyay tu kuch aisa hai zindagi karna
k jaisay ghoor andheray may roshni karna
Hum itnay maslehat andeesh thay bhala kis din
teri jafa nay sikhaya hai zindagi karna
mera wajood hai, asbat-o-ajazi ka milaap
tumhara toor hai, har baat ki nafi karna
Yeh zid nahi hai k hum dosti k qabil hain
Yeh shart hai k saleeqay say dushmani karna
Kuch aisi apni tabiyat hai in dinoo khalid`
K jis say sab ko adawat ho bus wohi karna