kisi ka dard ho, dil bay qaraar apna hai
hawa kahein ki ho, seena figar apna hai
ho koi fasal magar zakham khil he jatay hain
sadaa bahar, dil-e-daagh daar apna hai
Jo shaad phirtay thay kal, aaj cho'up k rotay hain
hazar shukar, ghum paidaar apna hai
isi liyay yahan kuch loag hum say jaltay hain
k ji jalanay may kion ikhtiyaar apna hai
na tang kar dil-e-mehzoon ko aye ghum-e-dunia
khudai bhar may, yehi ghum gusaar apna hai
kahien mila tu kisi din maana he lain gay usay
woo zood ranj sahee, phir bhi yaar apna hai
Woo koi apnay siwaa hoo tu us ka shikwa karoon
Judai apni hai, or intazaar apna hai
(Nasir Kazmi)